Raat Ka Har Ek Manzar Ranjishon Se Bojhal Tha
raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha
chand bhi adhura tha main bhi na-mukammal tha
aankh ki munDeron par aarzu nahin larzi
ek charagh ki lau se ek charagh ojhal tha
ja mila tere dar ke gum-shuda zamanon mein
meri umr ka hasil pyar ka jo ek pal tha
kyun sulagti aawazen bhig bhig jati thin
dasht-e-na-rasai mein dhup thi na baadal tha
dur to na tha itna KHema us ke KHwabon ka
raste mein apni hi KHwahishon ka jangal tha
(1835) Peoples Rate This