Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_39c151db5e4e770b8b155351af1e52d6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Wo Dariya Hai Kinaron Se Chhalakne Wala - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Phir Wo Dariya Hai Kinaron Se Chhalakne Wala

phir wo dariya hai kinaron se chhalakne wala

shahr mein koi nahin aankh jhapakne wala

jis se har shaKH pe phuTi tere aane ki mahak

aam ke peD pe wo bor hai pakne wala

yun to aangan mein charaghon ki farawani hai

bujhta jata hai wo ek nam chamakne wala

phir kahani mein nishani ki tarah chhoD gaya

dil ki dahliz pe ek dard dhaDakne wala

hijr-Taksal mein Dhaalega ghazal ke sikke

teri mahfil mein kabhi bol na sakne wala

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wo Dariya Hai Kinaron Se Chhalakne Wala In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Phir Wo Dariya Hai Kinaron Se Chhalakne Wala is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Phir Wo Dariya Hai Kinaron Se Chhalakne Wala for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Phir Wo Dariya Hai Kinaron Se Chhalakne Wala in PDF.