Phir To Is Be-nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha
phir to is be-nam safar mein kuchh bhi na apne pas raha
teri samt chala hun jab tak samton ka ehsas raha
teri gali mein TuT gae sab jurm-o-saza ke paimane
ek tabassum dekhne wala sari umr udas raha
gulchin ke chehre ki rangat roz badalti rahti thi
ranj-o-KHushi ke har mausam mein phul ka ek libas raha
jin ki dard-bhari baaton se ek zamana ram hua
'qasir' aise fan-karon ki qismat mein ban-bas raha
(946) Peoples Rate This