Nazar Nazar Mein Ada-e-jamal Rakhte The
nazar nazar mein ada-e-jamal rakhte the
hum ek shaKHs ka kitna KHayal rakhte the
jabin pe aane na dete the ek shikan bhi kabhi
agarche dil mein hazaron malal rakhte the
KHushi usi ki hamesha nazar mein rahti thi
aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the
bas ishtiyaq-e-takallum mein bar-ha hum log
jawab dil mein zaban par sawal rakhte the
usi se karte the hum roz o shab ka andaza
zamin pe rah ke wo suraj ki chaal rakhte the
junun ka jam mohabbat ki mai KHirad ka KHumar
hamin the wo jo ye sare kamal rakhte the
chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se
mohabbaton ke uruj o zawal rakhte the
kuchh un ka husn bhi tha mawara misalon se
kuchh apna ishq bhi hum be-misal rakhte the
KHata nahin jo khile phul rah-e-sarsar mein
ye jurm hai ki wo fikr-e-maal rakhte the
(2112) Peoples Rate This