Milne Ki Har Aas Ke Pichhe An-dekhi Majburi Thi
milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi
rah mein dasht nahin paDta tha chaar gharon ki duri thi
jazbon ka dam ghuTne laga hai lafzon ke ambar tale
pahle nishan-zad kar lena tha jitni baat zaruri thi
teri shakl ke ek sitare ne pal bhar sargoshi ki
shayad mah-o-sal-e-wafa ki bas itni mazduri thi
pyar gaya to kaise milte rang se rang aur KHwab se KHwab
ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi
ek ghazal ko dur se dekha aur ghazal tayyar hui
sahme sahme se lafzon mein halki si kasturi thi
(907) Peoples Rate This