Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_682112a61a8260854a3807d7fa9318c1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lab Pe SurKHi Ki Jagah Jo MuskurahaT Mal Rahe Hain - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Lab Pe SurKHi Ki Jagah Jo MuskurahaT Mal Rahe Hain

lab pe surKHi ki jagah jo muskurahaT mal rahe hain

hasraton ka bojh shanon par uTha kar chal rahe hain

zindagi ki dauD mein pichhe na rah jaen kisi se

KHauf-o-KHwahish ke ye paikar nind mein bhi chal rahe hain

dil mein KHema-zan andhero kitni jaldi mein hai suraj

jism tak jage nahin hain aur sae Dhal rahe hain

mere qisse mein achanak jugnuon ka zikr aaya

aasman par mere hisse ke sitare jal rahe hain

rakh hote ja rahe hain mah-o-sal-e-zindagani

jagmaga uThTha jahan hum sath pal do pal rahe hain

mail-e-sajda ghulami bhul ja KHu-e-salami

aaj wo baadal kahan saya-fagan jo kal rahe hain

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Pe SurKHi Ki Jagah Jo MuskurahaT Mal Rahe Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Lab Pe SurKHi Ki Jagah Jo MuskurahaT Mal Rahe Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Lab Pe SurKHi Ki Jagah Jo MuskurahaT Mal Rahe Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Lab Pe SurKHi Ki Jagah Jo MuskurahaT Mal Rahe Hain in PDF.