KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain

KHwab kahan se TuTa hai tabir se puchhte hain

qaidi sab kuchh bhul gaya zanjir se puchhte hain

jam-e-jam laya hai ghar ghar duniya ke haalat

dil ki baaten hum teri taswir se puchhte hain

duniya kab karwaT badlegi kab jagenge shahr

kaisi baaten soe hue zamir se puchhte hain

hum se na puchho kis jazbe ne tumhein kiya nakaam

baadshah aisi baaten apne wazir se puchhte hain

ahd se kaun mukar jaega taron ko kya ilm

likkhi nahin jo tu ne us tahrir se puchhte hain

'qasir' ne to dekha hai ab tak faqon ka raqs

jauhri taqat kya hai jauhar-e-'mir' se puchhte hain

(1355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain in PDF.