Hijr Ke Tapte Mausam Mein Bhi Dil Un Se Wabasta Hai
hijr ke tapte mausam mein bhi dil un se wabasta hai
ab tak yaad ka patta patta Dali se paiwasta hai
muddat guzri dur se main ne ek safina dekha tha
ab tak KHwab mein aa kar shab bhar dariya mujh ko Dasta hai
sham-e-abad tak Takrane ka izn nahin hai donon ko
chand usi par garm-e-safar hai jo suraj ka rasta hai
tez nahin gar aanch badan ki jam jaoge raste mein
us basti ko jaane wali pagDanDi yaKH-basta hai
aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha
peT hai KHali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai
lafzon ka bewpar na aaya us ko kisi mahngai mein
kal bhi 'qasir' kam-qimat tha aaj bhi qasir sasta hai
(914) Peoples Rate This