Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_68fe10f95f2ad498b9344d2fb9e8f8cf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gulabon Ke Nasheman Se Mere Mahbub Ke Sar Tak - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Gulabon Ke Nasheman Se Mere Mahbub Ke Sar Tak

gulabon ke nasheman se mere mahbub ke sar tak

safar lamba tha KHushbu ka magar aa hi gai ghar tak

wafa ki saltanat iqlim-e-wada sar-zamin-e-dil

nazar ki zad mein hai KHwabon se tabiron ke kishwar tak

kahin bhi sar-nigun hota nahin iKHlas ka parcham

judai ke jazire se mohabbat ke samundar tak

mohabbat ai mohabbat ek jazbe ki masafat hai

mere aawara sajde se teri chaukhaT ke patthar tak

udasi mu-qalam hai naqsh mein rang-e-malal ubhra

tamannaon ke pas-manzar se dil ke pesh-e-manzar tak

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulabon Ke Nasheman Se Mere Mahbub Ke Sar Tak In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Gulabon Ke Nasheman Se Mere Mahbub Ke Sar Tak is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Gulabon Ke Nasheman Se Mere Mahbub Ke Sar Tak for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Gulabon Ke Nasheman Se Mere Mahbub Ke Sar Tak in PDF.