Galiyon Ki Udasi Puchhti Hai Ghar Ka SannaTa Kahta Hai

galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai

is shahr ka har rahne wala kyun dusre shahr mein rahta hai

ek KHwab-numa bedari mein jate hue us ko dekha tha

ehsas ki lahron mein ab tak hairat ka safina bahta hai

phir jism ke manzar-name mein soe hue rang na jag uTThen

is KHauf se wo poshak nahin bas KHwab badalta rahta hai

chhe din to baDi sachchai se sanson ne payam-rasani ki

aaram ka din hai kis se kahen dil aaj jo sadme sahta hai

har ahd ne zinda ghazlon ke kitne hi jahan aabaad kiye

par tujh ko dekh ke sochta hun ek sher abhi tak rahta hai

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Galiyon Ki Udasi Puchhti Hai Ghar Ka SannaTa Kahta Hai In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Galiyon Ki Udasi Puchhti Hai Ghar Ka SannaTa Kahta Hai is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Galiyon Ki Udasi Puchhti Hai Ghar Ka SannaTa Kahta Hai for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Galiyon Ki Udasi Puchhti Hai Ghar Ka SannaTa Kahta Hai in PDF.