Bayaban Dur Tak Maine Sajaya Tha
bayaban dur tak main ne sajaya tha
magar wo shahr ke raste se aaya tha
diye ki aarzu ko jab bujhaya tha
phir us ke baad aahaT thi na saya tha
use jab dekhne ke baad dekha to
wo KHud bhi dil hi dil mein muskuraya tha
dil-o-diwar the ek nam ki zad par
kahin likhkha kahin main ne miTaya tha
hazaron is mein rahne ke liye aae
makan main ne tasawwur mein banaya tha
jahan ne mujh ko pahle hi KHabar kar di
kabutar der se paigham laya tha
chale mallah kashti git ummiden
ki jaise sab ko sahil ne bulaya tha
(862) Peoples Rate This