Ban Mein Viran Thi Nazar Shahr Mein Dil Rota Hai

ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai

zindagi se ye mera dusra samjhauta hai

lahlahate hue KHwabon se meri aankhon tak

ratjage kasht na kar le to wo kab sota hai

jis ko is fasl mein hona hai barabar ka sharik

mere ehsas mein tanhaiyan kyun bota hai

nam likh likh ke tera phul banane wala

aaj phir shabnamin aankhon se waraq dhota hai

tere baKHshe hue ek gham ka karishma hai ki ab

jo bhi gham ho mere meyar se kam hota hai

so gae shahr-e-mohabbat ke sabhi dagh o charagh

ek saya pas-e-diwar abhi rota hai

ye bhi ek rang hai shayad meri mahrumi ka

koi hans de to mohabbat ka guman hota hai

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ban Mein Viran Thi Nazar Shahr Mein Dil Rota Hai In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Ban Mein Viran Thi Nazar Shahr Mein Dil Rota Hai is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Ban Mein Viran Thi Nazar Shahr Mein Dil Rota Hai for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Ban Mein Viran Thi Nazar Shahr Mein Dil Rota Hai in PDF.