Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_850fb3a26d395822a569de5f234f17b7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Akela Din Hai Koi Aur Na Tanha Raat Hoti Hai - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Akela Din Hai Koi Aur Na Tanha Raat Hoti Hai

akela din hai koi aur na tanha raat hoti hai

main jis pal se guzarta hun mohabbat sath hoti hai

teri aawaz ko is shahr ki lahren tarasti hain

ghalat number milata hun to pahron baat hoti hai

saron par KHauf-e-ruswai ki chadar tan lete ho

tumhaare waste rangon ki jab barsat hoti hai

kahin chiDiyan chahakti hain kahin kaliyan chaTakti hain

magar mere makan se aasman tak raat hoti hai

kise aabaad samjhun kis ka shahr-ashob likhun main

jahan shahron ki yaksan surat-e-haalat hoti hai

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Akela Din Hai Koi Aur Na Tanha Raat Hoti Hai In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Akela Din Hai Koi Aur Na Tanha Raat Hoti Hai is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Akela Din Hai Koi Aur Na Tanha Raat Hoti Hai for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Akela Din Hai Koi Aur Na Tanha Raat Hoti Hai in PDF.