Zindagi Marg Ki Mohlat Hi Sahi
zindagi marg ki mohlat hi sahi
bahr-e-wamanda iqamat hi sahi
dosti wajh-e-adawat hi sahi
dushmani bahr-e-rifaqat hi sahi
tul dete ho adawat ko kyun
muKHtasar qissa-e-ulfat hi sahi
rakh kisi waza se ehsan ki KHu
mujh ko aazar se rahat hi sahi
aap ka bhi nahin chhuTta daman
mere dar pe meri shamat hi sahi
aaqibat hashr ko aana ek din
ruTh jaana teri aadat hi sahi
kuchh bhi ai baKHt mayassar hai tujhe
ya tajassus se faraghat hi sahi
kucha-e-ghair mein chal kar rahiye
gar nahin aish to hasrat hi sahi
yahi taqrib-e-sitam ho ai kash
har tarah ghair se nafrat hi sahi
ab to uTh aae lahad se be-tab
na sahi chaal qayamat hi sahi
yaadgari ki koi baat to ho
maut apni teri ruKHsat hi sahi
adl-o-insaf-e-qayamat malum
aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi
ai 'qalaq' shukr-e-sitam be-ja kyun
aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi
(795) Peoples Rate This