Wahi Wada Hai Wahi Aarzu Wahi Apni Umr-e-tamam Hai
wahi wada hai wahi aarzu wahi apni umr-e-tamam hai
wahi chashm hai wahi rah hai wahi subh hai wahi sham hai
wahi KHasta-haal KHarab hai wahi KHwab kushta-e-KHwab hai
wahi zindagi ko jawab hai na salam hai na payam hai
wahi josh nala-o-ah mein wahi shoala jaan-e-tabah mein
wahi barq-e-yas nigah mein jo KHayal hai so wo KHam hai
wahi KHwab-o-KHur ki talash hai wahi jaan-o-dil mein KHarash hai
wahi ranj-e-ghair-e-maash hai mujhe zindagi bhi haram hai
wahi hijr dushman-e-wasl hai wahi marg-o-zist mein fasl hai
wahi apne shaghl se shaghl hai wahi apne kaam se kaam hai
wahi shaq jigar na siyo siyo wahi zist hai na jiyo jiyo
wahi KHun-e-dil na piyo piyo wahi baada hai wahi jam hai
wahi shauq-e-rah hai rahnuma wahi jalwa-gah hai ruKH-kusha
wahi bazm-e-naz hai ja-ba-ja wahi har qadam pe maqam hai
wahi nim-jaan dam-e-wapsin wahi nala-kash suKHan-e-hazin
wahi yas-e-zist hai dil-nashin ki zaban pe aap ka nam hai
wahi ranj hai to yun hi sahi wo 'qalaq' hi tha ki yun hi nibhi
meri aap ko bhi hai bandagi mera ishq ko bhi salam hai
(816) Peoples Rate This