Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8gu3rs9bl7eti69leql1aav6r3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
UThne Mein Dard-e-muttasil Hun Main - Ghulam Maula Qalaq Poetry In English - Darsaal

UThne Mein Dard-e-muttasil Hun Main

uThne mein dard-e-muttasil hun main

gard-baad-e-ghubar-e-dil hun main

kabe tak sath aaya shauq-e-sanam

hae but-KHana kya KHajil hun main

haif kis muddai ki jaan hai tu

hae kis aashna ka dil hun main

tujh ko dun kya jawab ai dawar

apne hi aap munfail hun main

teri nazuk tani pe ghaur na ki

apni ummid se KHajil hun main

na hila us ke dar se ta-mahshar

marqad-e-arzu ki sil hun mein

KHak-e-hasti ki gard-baad hai tu

aatish-e-dil ki aab-o-gil hun main

had nahin koi apni haalat ki

ki nigahon mein muntaqil hun main

chha gaya ye tasawwur us but ka

naqsh-e-chin aur but-chagil hun main

zarra si zindagi pahaD hui

aankh ka apni aap til hun main

ai 'qalaq' kyun ki chhoD dun wahshat

waza mein apni mustaqil hun main

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UThne Mein Dard-e-muttasil Hun Main In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. UThne Mein Dard-e-muttasil Hun Main is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem UThne Mein Dard-e-muttasil Hun Main for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download UThne Mein Dard-e-muttasil Hun Main in PDF.