Un Se Kaha Ki Sidq-e-mohabbat Magar Darogh
un se kaha ki sidq-e-mohabbat magar darogh
kahne lage ye sach hai ki har tarah par darogh
duzd-e-hina pe duzdi-e-jaan ka hai ittiham
KHun-e-dil-o-jigar sar-e-tegh-e-nazar darogh
aana sabah-e-hashr ka sham-e-firaq jhuT
uD jaana shor-e-nala se rang-e-sahar darogh
har lahza tegh jaanna abru ka iftirak
har lamha zauq-e-qatl mein sar hath par darogh
sar sang-e-dar se phoDna wahshat mein na-subut
gir jaana sail-e-ashk se diwar-o-dar darogh
KHun-e-jigar bajae mai-e-nab na-durust
aatish-zani-e-shola-fishan chashm-e-tar darogh
jaan aur figar-e-tir-e-mizha kis qadar ghalat
dil aur asir-e-rishta-e-mu sar-ba-sar darogh
be-jaan ho aur jite ho furqat mein iKHtiraa
be-dil ho aur niyaz-e-nigah hai jigar darogh
TukDe nigah-e-naz se dil aap ka durust
wahm-e-nazar se dur hamari kamar darogh
uDta hai rang sath hi aawaz-e-naz ke
chin-e-jabin se aap ko itna KHatar darogh
hai na-sipas-e-wasl dil-e-hijr-e-dost KHabt
hai pak-baz chashm-e-haqiqat-nigar darogh
kuche mein mere le ke saba aaegi baja
tum KHak ho gae ho sar-e-rahguzar darogh
hum ko talash aap ki aur dar-ba-dar muhaal
jazb-e-dil-o-jigar se umid-e-asar darogh
hum aur nash uThane ko aate KHilaf-e-aql
marg-e-shab-e-firaq ki har su KHabar darogh
ye zabt-e-waza nam 'qalaq' qissa muKHtasar
shair ho har tarah hai tumhaara hunar darogh
(886) Peoples Rate This