UDaun Na Kyun Tar-tar-e-gareban
uDaun na kyun tar-tar-e-gareban
ki parda-dari hai shiar-e-gareban
har ek tar hai dast-gir-e-tamasha
kiya zoaf ne sharmsar-e-gareban
katan-o-gul-o-sina-e-ahl-e-hasrat
bahut chiz hain yaadgar-e-gareban
agar dushmani baKHiya-gar ko nahin
to kyun is qadar dost-dar-e-gareban
yahin qaid-e-rasm KHalaiq pasand
har ek sans hai KHar-KHar-e-gareban
wafa hai meri pesh-dast-e-salasil
tera parda hai pesh-kar-e-gareban
ye uDne mein chaalak har para hai
ram-e-dasht-e-wahshat shikar-e-gareban
kabhi koh mein dasht mein hai kabhi
nahin kuchh gulu par madar-e-gareban
'qalaq' kyun ke parda na uThta hamara
ki hai baKHiya-gar raaz-dar-e-gareban
(847) Peoples Rate This