Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho
thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho
yarab kahin wo ghaflat fariyaad-e-be-kasan ho
ya qahr hai wo shoKHi ya parda hai nazar ka
dil mein to us ka ghar ho aur aankh se nihan ho
ye shor bhar raha hai fariyaad ka jahan mein
jo baat lab pe aai ulTi phiri fughan ho
kis kis dua ko mangen kya kya hawas nikalen
ek jaan kidhar kidhar ho ek dil kahan kahan ho
bargasht-agi-e-qismat ye chheD kya nikali
jo muddaa-e-dil ho wo muddai-e-jaan ho
maqdur tak to apne tujh se nibhaenge hum
be-jaan-o-dil hain hazir gar qasd-e-imtihan ho
sayyaad main nahin hun gum-karda aashiyan hun
ai ham-safiro bolo kis ja ho aur kahan ho
ai aah dil se uTh kar lab par hai kya tamul
ja shorish-e-zamin ho aashob-e-asman ho
miT miT ke bhi hamara ek ban rahega saman
ujDe agar bahaaran aabaadi-e-KHizan ho
jab baiThne pe aae ai zoaf baiTh rahiye
phir kya hai ye takalluf us ka hi aastan ho
tu hi rahegi bulbul ya main hi is chaman mein
ya tera hi ho qissa ya meri dastan ho
mere suKHan mein kya hai kuchh KHal-o-KHat bayan hai
par dil se us ke puchhe jo koi nukta-dan ho
mera salam kahna jhuk kar 'qalaq' wahi hai
us ki gali mein baiTha mauzun sa jo jawan ho
(758) Peoples Rate This