Tere Wade Ka IKHtitam Nahin
tere wade ka iKHtitam nahin
ki qayamat pe bhi qayam nahin
bewafai tumhaari aam hui
ab kisi ko kisi se kaam nahin
kis liye dawa-e-zuleKHai
ghair yusuf nahin ghulam nahin
wasl ke baad hijr ka kya kaam
dur gardun ka intizam nahin
kaun sunta hai nala-o-fariyaad
charKH ko KHauf-e-intiqam nahin
KHal-e-lab dekh kar hua malum
koi dana baghair-e-dam nahin
aap mein kyun ki aaun jab ki tu aae
KHalwat-e-KHas bazm-e-am nahin
nala karta hun log sunte hain
aap se mera kuchh kalam nahin
jis jagah hai wahan bhi hai bohtan
ki kisi ja tera maqam nahin
roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan
sham par bhi to iKHtitam nahin
hai KHuda hi 'qalaq' jo aaj bujhe
subh hote nahin ki sham nahin
(875) Peoples Rate This