Tere Dar Par Maqam Rakhte Hain
tere dar par maqam rakhte hain
qasd-e-dar-us-salam rakhte hain
ibtida apni intiha se pare
na-tamami tamam rakhte hain
aasman se kise umid-e-najat
aashiyan zer-e-dam rakhte hain
ek yusuf ki sath ghurbat mein
aise lakhon ghulam rakhte hain
be-baha shai hun main ki wo mujh ko
na-KHarida ghulam rakhte hain
sab ki sunte hain karte hain ji ki
kaam se apne kaam rakhte hain
wasl-e-mashuq hai sulaimani
wo hi jam hain jo jam rakhte hain
kuchh teri dosti ki qadr nahin
dushmani KHas-o-am rakhte hain
qais o farhad kahte hain wo mujhe
kaise gin gin ke nam rakhte hain
nalon ko rok rok lete hain
dil ko hum tham tham rakhte hain
kabe mein ek dam ki mehmani
mai-kade mein mudam rakhte hain
dil-ruba kahne se wo chaunk uThe
goya hum ittiham rakhte hain
chashm-e-bad-dur aish-e-ahd-e-shabab
subh ham-rang-e-sham rakhte hain
ai 'qalaq' baiThiye sar-e-KHum-e-mai
aap aali maqam rakhte hain
(803) Peoples Rate This