Rishta-e-rasm-e-mohabbat Mat ToD
rishta-e-rasm-e-mohabbat mat toD
toD kar dil ko qayamat mat toD
kaam-e-nakaami bhi ek kaam sahi
toD ummid ko himmat mat toD
raat furqat ki paDi hai ai dil
ek hi nale mein taqat mat toD
us ki rahmat ko na be-kar samajh
mai-o-maiKHane ki niyyat mat toD
dekh achchhi nahin ye KHar-masti
saghar-e-baada-e-fursat mat toD
ai dil ummid-e-rihai mat bandh
aur aafat sar-e-afat mat toD
puchh mat lazzat-e-mai ai waiz
jaanwar dam-e-shariat mat toD
sehan-e-masjid ko kiye ja pamal
qaid-e-ain-e-tariqat mat toD
mai-kada dekh ke jannat ko na bhul
hirs se band-e-qanaat mat toD
is ka ehsan uThana hai hamein
gardan ai bar-e-nadamat mat toD
ai 'qalaq' but-kade mein bandh ehram
hum se lillah rifaqat mat toD
(857) Peoples Rate This