Matam-e-did Hai Didar Ka KHwahan Hona
matam-e-did hai didar ka KHwahan hona
jis qadar dekhna utna hi pasheman hona
saKHt dushwar hai aasan ka aasan hona
KHun-e-fursat hai yahan sar-ba-gareban hona
tera diwana to wahshat ki bhi had se nikla
ki bayaban ko bhi chahe hai bayaban hona
kucha-e-ghair mein kyun kar na banaun ghar ko
meri aabaadi se aabaad hai viran hona
KHak-e-wahshi se agar rabt hai Thokar ko teri
daur-e-daman se nahin daur-e-gareban hona
na wo KHun hi hai jigar mein na wo rone ka dimagh
mil gaya KHak mein har ashk ka tufan hona
ji ka ji hi mein raha harf-e-tamanna afsos
kahna kuchh aap hi aur aap pasheman hona
dil se andaz-e-shikan zulf ne sab jama kiye
chheD kar us ko kahin tu na pareshan hona
tujh ko arman-e-KHarabi hai jo ai dehli aur
sikh ja ghar mein mere rah ke bayaban hona
dil hai ek qatra-e-KHun jis pe ye sina zori
kuchh samajhta hi nahin ham-saf-e-mizhgan hona
mujh mein kuchh tab ho ai jaan to main be-tab rahun
warna dushwar hai is raaz ka pinhan hona
yaad-e-mizhgan se idhar zaKHm-e-jigar par khana
aur udhar shorish-e-dil se namak-afshan hona
aaj wo waqt 'qalaq' par hai ki jun ibn-e-KHalil
ghair taslim nahin qatl ka aasan hona
(888) Peoples Rate This