Kya Kahen Tujhse Hum Wafa Kya Hai
kya kahen tujh se hum wafa kya hai
soch kuchh dil mein puchhta kya hai
dil hai ye ya ki aabla kya hai
kyun hai itna bhara hua kya hai
kaise kaise jawan kiye barbaad
ishq kya shai hai ye bala kya hai
dil ko dena tha de diya zalim
aur hum ne tera liya kya hai
gar raqabat tumhein nahin mujh se
phir ye aaina dekhna kya hai
pahle rakh le tu apne dil par hath
phir mere KHat ko paDh likha kya hai
ab wo aankhen nahin hain pahli si
sach kaho tum ko ho gaya kya hai
shauq-e-ashiq-kushi bhala hi sahi
rahm karna bhi par bura kya hai
kya kahen hum bura ki KHu hi nahin
par kaho tum hi ye jafa kya hai
jab ki gardan pe KHun raha us ki
nam mat lo ki KHun-baha kya hai
meri aur aarzu ko tu puchhe
sochta hun ki muddaa kya hai
jaane kya kya hua hai rizq-e-KHak
gul-o-lala ko dekhta kya hai
dil ajab chiz hai to tum se aziz
rahne bhi do muamla kya hai
aage aage hain para-ha-e-jeb
mujh ko darkar rahnuma kya hai
kam nigahi bhi shart-e-husn hai par
dekh tu hum mein ab raha kya hai
qatl hote rahe hain hum se puchh
le ke shamshir sochta kya hai
pi gai KHun zamin hazaron ki
muft phir shoKHi-e-hina kya hai
donon aalam ko kyun kiya pamal
naqsh-e-pa par ye naqsh-e-pa kya hai
ai 'qalaq' kyun qalandari chhoDi
ye aba kya hai ye qaba kya hai
(754) Peoples Rate This