Kya Aa Ke Jahan Mein Kar Gae Hum
kya aa ke jahan mein kar gae hum
ek dagh jigar pe dhar gae hum
mehman-e-jahan the ek shab ke
sham aae the aur sahar gae hum
jun shama tamam umr roe
har bazm se chashm-e-tar gae hum
apni hi nazar nahin wagarna
tu hi tha udhar jidhar gae hum
nale mein asar to kyun na hota
par tera lihaz kar gae hum
hum jaante hain ki tu hai hum mein
go DhunDne dar-ba-dar gae hum
jhagDa tha jo dil pe us ko chhoDa
kuchh soch ke sulh kar gae hum
is dasht ke KHar-o-KHas se bach kar
jon baad-e-subuk guzar gae hum
thin lutf se dil mein juraten kuchh
par tere ghazab se Dar gae hum
hasrat hi se hum bane the goya
aankh uThte hi uThte mar gae hum
derina rafiq tha 'qalaq' hae
wo kya hi mua ki mar gae hum
(721) Peoples Rate This