Koi Kaisa Hi Sabit Ho Tabiat Aa Hi Jati Hai
koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai
KHuda jaane ye kya aafat hai aafat aa hi jati hai
wo kaise hi chalen tham tham qayamat aa hi jati hai
bache koi kisi Dhab se pa shamat aa hi jati hai
sitam kar ke sitam-gar ki nazar nichi hi rahti hai
burai phir burai hai nadamat aa hi jati hai
zuleKHa be-KHirad aawara laila bad-maza shirin
sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jati hai
charagh-o-shama bazm-e-yar kar kar ghair ko phunka
dil-e-afsurda mein aaKHir hararat aa hi jati hai
hua nazron hi nazron mein wo mahshar barq-e-sad-KHirman
mohabbat ki nigahon se shararat aa hi jati hai
pasina aa gaya un ko kiya wada jo aane ka
buri hai naz bardari nazakat aa hi jati hai
har ek se ab wo kahte hain ki lo hum par ye marte hain
jiyenge is tarah kab tak ki ghairat aa hi jati hai
nahin kuchh dil ka phirna ahd-e-dushman se tera phirna
magar kuchh soch kar aaKHir murawwat aa hi jati hai
na hoti gar nawed-e-marg kyun kar hijr mein jite
mohabbat mein bhi aasaish pe niyyat aa hi jati hai
visal-e-ghair ke qisse ko sun kar kya taDapta hun
ye arman koi ja sakta hai hasrat aa hi jati hai
agar sad-sal kije shukr-e-ulfat kijiye lekin
ye wo shewa hai bad-zan phir shikayat aa hi jati hai
'qalaq' KHat ghair ka kyun kar na aata kyun na tum paDhte
qaza likhi hui hazrat-salamat aa hi jati hai
(1020) Peoples Rate This