Kis Qadar Dilruba-numa Hai Dil
kis qadar dilruba-numa hai dil
KHana-e-ghair ho gaya hai dil
har ghaDi kyun na zalzale mein rahe
mashhad-e-hasrat-o-wafa hai dil
maut bhi sahal kuchh nahin apni
kis liye taqat-azma hai dil
maslahat is mein ho na koi kash
dushman-e-jaan ho gaya hai dil
sab se lag chalne ki hui hai kho
kis qadar sarf-e-ashna hai dil
shaiKH-e-sanan ka yaad hai qissa
saKHt kafir buri bala hai dil
apni haalat mein mubtala hun aap
dil-ruba jaan hai jaan-ruba hai dil
balbe wamandgi ki tez rawi
jaise jaane pe aa gaya hai dil
kis jafa-kar ki wafa hai jaan
kis sitam-kash ka muddaa hai dil
teri ulfat ka naqd dagh-e-jigar
meri hasrat ka KHun-baha hai dil
kahiye kis se laga liya lagga
ai 'qalaq' kyun ke lag chala hai dil
(823) Peoples Rate This