KHushi Mein Bhi Nawa-sanj-e-fughan Hun
KHushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun
zamin-o-asman ka tarz-dan hun
main apni be-nishani ka nishan hun
hujum-e-matam-e-umr-e-rawan hun
tere jate hi meri zist tohmat
nahin milta pata apna kahan hun
ghubar-e-karwan-e-mor hai zist
ye KHatt-e-yar se aashufta-jaan hun
nahin kuchh kaam baKHt-o-asman se
main nakaami mein apni kaamran hun
nahin dam marne ka dam aur us par
sarapa shama san shakl-e-zaban hun
KHuda hi gar na de mashuq-o-mai ko
to kyun phir mohtasib se sargiran hun
wahan ka rang-e-parran aasman hai
main jis aalam ki taswir-e-guman hun
koi aawara mil jae to puchhun
kidhar se aaya hun jata kahan hun
nikal jata hai ji har aarzu par
pae-KHun-e-jawani mein jawan hun
mera gham ishrat-e-rafta ka naghma
ki misl-e-gard bu-e-karwan hun
kawakib-ha-e-qismat aasman par
na hun kyun nukta-chin main nukta-dan hun
'qalaq' be-raunaqi raunaq hai meri
bahaar-e-umr-e-hasti ki KHizan hun
(902) Peoples Rate This