Hum To Yan Marte Hain Wan Usko KHabar Kuchh Bhi Nahin
hum to yan marte hain wan us ko KHabar kuchh bhi nahin
ai wo sab kuchh hi sahi ishq magar kuchh bhi nahin
tum ko fariyaad-e-sitam-kash ka KHatar kuchh bhi nahin
kuchh to ulfat ka asar hai ki asar kuchh bhi nahin
aafiyat ek aur aazar hazaron us mein
jis ko kuchh sud nahin us ko zarar kuchh bhi nahin
KHalwat-e-raaz mein kya kaam hai hangame ka
hai KHabar-dar wahi jis ko KHabar kuchh bhi nahin
tu aur ek shan ki aalam ki nazar mein kya kuchh
main aur ek jaan ki phirte hi nazar kuchh bhi nahin
rahm hai us ka hi aashob-e-qayamat ki dalil
jis se bezar hai wo us ko KHatar kuchh bhi nahin
hum ko is hausle pe kyun ki falak de saman
shikwa-e-bar hai aur minnat-e-sar kuchh bhi nahin
rahi-e-mulk-e-adam hain nahin fikr-e-manzil
qasd rakhte hain udhar ka ki jidhar kuchh bhi nahin
zist afsun-e-tamasha hai tawahhum ke liye
hoti hai jalwa-numa misl-e-sharar kuchh bhi nahin
KHud-parasti ke sabab shaiKH-o-barahman ko hai KHabt
sab idhar hi ki banawaT hai udhar kuchh bhi nahin
aaqibat-bin ko hai har bazm ki shadi matam
shama roti hai ki hote hi sahar kuchh bhi nahin
roz-e-furqat ki daraazi se na dekhe shab-e-hijr
hasrat-e-sham mein tashwish-e-sahar kuchh bhi nahin
jaante hain ki na bhaTkega jahan kya kya kuchh
dekhte hain ki unhen madd-e-nazar kuchh bhi nahin
ai 'qalaq' pite hi masjid mein chale aate ho
be-KHabar kitne ho tum bhi ki KHabar kuchh bhi nahin
(866) Peoples Rate This