Duri Mein Kyun Ki Ho Na Tamanna Huzur Ki
duri mein kyun ki ho na tamanna huzur ki
manzil ko meri qurb se nisbat hai dur ki
furqat ne us ki wasl ki tashwish dur ki
taskin nahin hai yun bhi dil-e-na-subur ki
musa ke sar pe panw hai ahl-e-nigah ka
us ki gali mein KHak uDi koh-e-tur ki
kahta hai anjuman ko teri KHuld muddai
is bul-hawas ke dil mein tamanna hai hur ki
waiz ne mai-kade ko jo dekha to jal gaya
phaila gaya charand sharab-e-tahur ki
musa ko kyun na mauj-e-tajalli dhakel de
jalwe se us ke gul hui mashal shuur ki
arbab-e-waqt jaante hain rozgar ne
ki sahw se wafa to talafi zarur ki
ruswaiyon ka hausla ghaT ghaT ke baDh gaya
saman hai KHamushi meri shor-e-nushur ki
mel aasman ka su-e-zamin be-sabab nahin
zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghurur ki
us se na miliye jis se mile dil tamam umr
sujhi hamein bhi hijr mein aaKHir ko dur ki
pamal kar raha hai siyah-roziyon ka josh
miTTi KHarab hai mere kalabe mein nur ki
kya ek qurb-e-ghair ka sadma na pochhiye
hain dil ke aas pas bala dur dur ki
mazmun mere uDae 'qalaq' sab ne is qadar
sunta hun main tarana zabani tuyur ki
(834) Peoples Rate This