Dida-e-sarf-e-intizar Hai Shama
dida-e-sarf-e-intizar hai shama
meri haalat ki yaadgar hai shama
nahin dil mein kisi ke soz-o-gudaz
ki tamasha-e-rozgar hai shama
pae-jumbish sada taDapti hai
tapish-e-na-tawan shikar hai shama
ruKH-e-raushan hai nur-e-binai
chashm-e-ushshaq ka ghubar hai shama
roz-e-tira mein bad-numa KHurshid
shab-e-raushan mein tira-kar hai shama
yaad-e-gul-e-ruKH se phul jhaDte hain
kis bashashat se nau-bahaar hai shama
KHak nasur-e-dil bhare is ka
zaKHmi-e-girya-ha-e-zar hai shama
husn diwana sab ko karta hai
apne hi aap par nisar hai shama
subh hote hi TimTimati hai
aap ki chashm-e-pur-KHumar hai shama
kyun na roe na kis tarah se jale
ki fughani-e-raaz-dar hai shama
nahin bujhti lagi hui ji ki
shola-e-jaan-e-sogwar hai shama
hai idhar dagh-e-barq-e-parwana
aur udhar chashm-e-abr-bar hai shama
husn bhi hai maal-e-kar wabaal
bazm-dar-bazm kya hai KHar hai shama
jhankna parde se buri KHu hai
KHud-ba-KHud aap sharmsar hai shama
shab-e-tanhai aur tu aur ye
ai 'qalaq' teri gham-gusar hai shama
(887) Peoples Rate This