Chal Diye Hum Ai Gham-e-alam Widaa
chal diye hum ai gham-e-alam widaa
shor-e-matam ta-kuja matam widaa
jate hi tere har ek ka kuch hai
jaan widaa o dil widaa o dam widaa
roz-e-mayyat bhi nahin kam id se
pahle rehlat se hua har gham widaa
hai qayamat ek din us ka qayam
dil ko kar ai turra-e-KHush-KHam widaa
us ka rasta ku-e-ghair aur apna KHuld
wo udhar ruKHsat idhar hain hum widaa
ghair ki KHatir hai to jaane bhi do
kijiye us ko KHush-o-KHurram widaa
hae re umr-e-rawan ka qafila
har qadam har aan hai har dam widaa
kyun na hon aaghosh-e-hasrat subh-o-sham
roz-o-shab aalam se hai aalam widaa
hai ba-qadr-e-hausla yan ittifaq
jam se hargiz na hoga jam widaa
sun chuka hun main tera azm-e-safar
aankh se meri na hoga nam widaa
hasrat-e-be-iKHtiyari dekhna
tan se jaan hoti hai kya tham tham widaa
ab kahan sabr-o-qarar-o-tab-o-hosh
sath hi is ke hue paiham widaa
la tayyun be nishani ne kiya
kijiye aaram ruKHsat ram widaa
mohlat-e-rang-e-chaman KHun kyun na ho
ho gai jab fursat-e-shabnam widaa
ai 'qalaq' chaliye ki manzil dur hai
ho rahenge yar sab baham widaa
(947) Peoples Rate This