Ai Khaar Khaar-e-hasrat Kya Kya Figar Hain Hum
ai KHar KHar-e-hasrat kya kya figar hain hum
kya haal hoga us ka jis dil mein KHar hain hum
har chand dil mein tere zalim ghubar hain hum
kitne dabe hue hain kya KHaksar hain hum
kya jaane kya dikhae kam-baKHt raaz-e-dushman
be-iKHtiyar ho tum aur be-qarar hain hum
wan shoKHiyon ne mare nakaam kaise kaise
yan sadgi se kya kya umid-war hain hum
ne raKHt mai-kade mein ne kabe ka irada
hain dil lagi ke bande yaron ke yar hain hum
wan sarguzisht-e-dushman wo kah rahe hain munh par
yan be-KHudi hai is par kya raaz-dar hain hum
saqi teri nigahen kab tak rahengi palTi
hai nashsha zahidon ko aur baada-KHwar hain hum
kaba hai sang-e-baalin zohad-e-KHufta dil ka
aur mai-kade ke andar shab-zinda-dar hain hum
allah re zarf-e-dil ka sab ki jagah hai is mein
be-gham rahe hai dushman kya gham-gusar hain hum
ai hashr bach ke chalna ai charKH haT ke girna
hai barq saya jis ka wo KHar-zar hain hum
itni KHalish mizha ki ab baDh gai ki goya
zaKHm-e-dil-e-adu mein KHanjar-guzar hain hum
kab tak rahega dushman jame se apne bahar
ho aag aag jis se tum wo sharar hain hum
dushman ki jeb mein tum sabr-o-shakeb mein hum
tum dast-e-kotahi ho pa-e-nigar hain hum
wadi-e-justuju se guzrin to kya ajab hai
warafta kaise kaise lail-o-nahaar hain hum
kya baada-e-jawani mard-azaman nasha tha
ab ai 'qalaq' wabaal-e-KHwab-o-KHumar hain hum
(938) Peoples Rate This