Aap Ke Mahram Asrar The Aghyar Ki Hum
aap ke mahram asrar the aghyar ki hum
dil-e-ghamnak ke tum rahte the gham-KHwar ki hum
shikwa-alud nasihat nahin achchhi naseh
aap hain kushta-e-bedad-e-sitamgar ki hum
hashr agar kahwe madad-gar hamara hai kaun
bol uThe saf tera fitna-e-raftar ki hum
aap ki shan ka saman kahan se aaya
yusuf-e-husn ke the aap KHaridar ki hum
hum bura ghair se milne ko samajhte the ki tum
apne matlab ke hain aghyar talabgar ki hum
hae be-rahmi-e-dil-dar se be-qadri jaan
zist se aap hamari hue bezar ki hum
jaante hum hain bura rabt jatane ko ki ghair
honge mashhur hawasnak tere yar ki hum
qatl kya ho koi KHanjar mein nahin tarz-e-nigah
dad ai ishq hai jallad gunahgar ki hum
na mohabbat ki KHabar us ko na hum ko us ki
sadgi kah to sahi yar hai ayyar ki hum
roz-o-shab mere phirane ko phire jata hai
charKH hai gardish-e-bekar se na-chaar ki hum
ho ke pamal Thikane se lagi KHak apni
tu hai aashufta sar-e-kucha-o-bazar ki hum
un ko tum chahte ho aap ko hum chahte hain
laeq-e-rahm hain farmaiye aghyar ki hum
ai 'qalaq' panw zamin par nahin rakhta maghrur
charKH hai KHak-e-dar-e-haidar-e-karrar ki hum
(1109) Peoples Rate This