Hasil Kisi Se Naqd-e-himayat Na Kar Saka
hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka
main apni saltanat pe hukumat na kar saka
har rang mein raqib-e-zar-e-nam-o-nang hun
main wo hun jo kisi se mohabbat na kar saka
ghulta raha hai meri ragon mein bhi koi zahr
lekin main is dayar se hijrat na kar saka
paDta nahin kisi ke bichhaDne se koi farq
main us ko sach batane ki zahmat na kar saka
aaya jo us ka zikr to main gung rah gaya
aur aaine se us ki shikayat na kar saka
baqi rakhi hai mere lahu ne mata-e-hosh
main ne wafa to ki thi nihayat na kar saka
ab bhi shagufta nur se hai us ko rabt-e-KHas
wo jo mere charagh ki izzat na kar saka
har-chand us gulab pe tashbib khul gai
is par bhi main gurez ki himmat na kar saka
'sajid' qafas ki tiliyon ko toD kar bhi main
is dasht-e-be-kanar mein wahshat na kar saka
(36993) Peoples Rate This