Zamin Meri Rahegi Na Aaina Mera
zamin meri rahegi na aaina mera
ki aazmane chala hai mujhe KHuda mera
mere tilism se aazad bhi nahin lekin
wo phul pahli nazar mein hua na tha mera
naim basra-o-baghdad haarne ke baad
mera wajud bhi shayad nahin raha mera
wo mere pas rahe ya kahin chala jae
rahega us ke KHayalon se silsila mera
kisi ki khoj mein nikla tha be-irada main
badan niDhaal tha sar ghumta hua mera
nahin hai ab mujhe anjam ki koi parwa
baDha diya hai mohabbat ne hausla mera
hua hai qata masafat ka silsila jari
main ruk gaya to badan TuTne laga mera
yaqin nahin hai magar naqsh hai mere dil par
ki ek pari ne banaya hai zaicha mera
wo bar bar palaTta hai dur ja-ja kar
so TuT TuT ke juDta hai rabta mera
nazar ki had pe jo ek najm-e-KHwab hai 'sajid'
wahi charagh hai us ka wahi diya mera
(15185) Peoples Rate This