Ufuq Se Aag Utar Aai Hai Mere Ghar Bhi
ufuq se aag utar aai hai mere ghar bhi
shikast hote hain kya shahar apne andar bhi
ye aab-o-tab isi marhale pe KHatm nahin
koi charagh hai is aaine se bahar bhi
KHamir jis ne uThaya hai KHak se mera
usi ne KHwab se khincha hai mera jauhar bhi
main DhunD lunga koi rasta palaTne ka
jo band hoga kabhi mujh pe aap ka dar bhi
kisi ke aks-e-munawwar ki chhuT se hai dang
to mere dam se hai ye aaina mukaddar bhi
ye saill-e-shab hi nahin mere waste jari
rawan hai mere liye subh ka samundar bhi
dahakne wale faqat phul hi na the 'sajid'
khile hue the inhi kyariyon mein aKHgar bhi
(1254) Peoples Rate This