Subh Tak Jin Se Bahut Bezar Ho Jata Hun Main
subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main
raat hote hi unhi galiyon mein kho jata hun main
KHwab mein gum hun ki bahar ki faza achchhi nahin
aankh khulte hi kahin zanjir ho jata hun main
khinch lati hai usi kuche mein phir aawargi
roz jis kuche se apne shahr ko jata hun main
is andhere mein charagh-e-KHwab ki KHwahish nahin
ye bhi kya kam hai ki thoDi der so jata hun main
raat lati hai kisi ke qurb ki KHwahish magar
subh hote hi kisi se dur ho jata hun main
ji mein aata hai ki duniya ko badalna chahiye
aur apne aap se mayus ho jata hun main
bare bagh-e-sehn-e-duniya mein bahut din rah liya
KHush raho ab is gali se dosto jata hun main
(1287) Peoples Rate This