Qarya-e-hairat Mein Dil Ka Mustaqar Ek KHwab Hai

qarya-e-hairat mein dil ka mustaqar ek KHwab hai

ye zamin ek aaina hai ye nagar ek KHwab hai

tangi-e-auqat se khulti hai ek rah-e-najat

wusat-e-imroz-o-farda se udhar ek KHwab hai

ek subh-e-nur hai mere sitare ki niyam

aur meri be-tegh aankhon ki sipar ek KHwab hai

ye zamin-o-asman donon haqiqat hain magar

KHak par maujud hone ki KHabar ek KHwab hai

sans rukta hai to gul hoti hai sham-e-justuju

raat bhar bedar rahne ka samar ek KHwab hai

ek mauj-e-ab hai ek aks mein lipTi hui

ek mauj-e-rang se shir-o-shakar ek KHwab hai

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarya-e-hairat Mein Dil Ka Mustaqar Ek KHwab Hai In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Qarya-e-hairat Mein Dil Ka Mustaqar Ek KHwab Hai is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Qarya-e-hairat Mein Dil Ka Mustaqar Ek KHwab Hai for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Qarya-e-hairat Mein Dil Ka Mustaqar Ek KHwab Hai in PDF.