Nahin Hai Is Nind Ke Nagar Mein Abhi Kisi Ko Dimagh Mera
nahin hai is nind ke nagar mein abhi kisi ko dimagh mera
magar kisi KHwab ke safar mein sipar karenge charagh mera
sabahat-e-sham-o-aina se hui hai meri numud lekin
sitara o aasman se bahar kahin milega suragh mera
taDap uThi hai kisi nagar mein qayam karne se ruh meri
sulag raha hai kisi masafat ki be-kali se dimagh mera
jarahat-e-wasl ne khilae hain zulmat-e-sham mein sitare
mata-e-hijran ki chandni se bhara hua hai ayagh mera
lipaT rahi hai fasil ki burjiyon se ek shahr ki nigahen
aur ek diwar-e-aina par jhuka hua hai charagh mera
ye kaisi sath-e-rawan pe 'sajid' dhari hui hai zamin meri
ki jhumta hai kisi sitare ke sans lene se bagh mera
(1110) Peoples Rate This