Nahin Ab Rok Paegi Fasil-e-shahr Pani Ko
nahin ab rok paegi fasil-e-shahr pani ko
bahae ja rahi hai raushni ki lahr pani ko
mujhe bhi surKH karti hai ye mashal meri aankhon ki
ki jaise sabz karta hai ziya ka zahr pani ko
kisi be-nam sayyare pe ab bhi abr chhaya hai
tarasta hai kai din se agarche dahr pani ko
bahut itra rahi hai mauj-e-sahra apne hone par
rawan rakhti ho jaise aaj bhi ye nahr pani ko
nikalna chahta hai qaid se jaise mashiyyat ki
pasand aaya nahin hai aasmani qahr pani ko
use wo rakh karne ke liye tayyar hai 'sajid'
muqayyad hi na rakkhega faqat ye shahr pani ko
(1107) Peoples Rate This