Nahin Aasan Kisi Ke Waste TaKHmina Mera
nahin aasan kisi ke waste taKHmina mera
muqarrar hai dayar-e-ghaib se rozina mera
dam-e-ruKHsat agar main hausle se kaam leta
palaT kar dekh sakta tha use aaina mera
hadaf ban paengi aankhen na mere dushmanon ki
muqabil hai KHadang-e-KHwab ke ab sina mera
paDa rahta hun kunj-e-afiyat mein sar chhupa kar
guzar jata hai yun hi sabt aur aadina mera
buDhapa chha raha hai mere har jazbe pe lekin
jawan hota chala jata hai phir bhi kina mera
badal sakta tha mere shahr ka aahang 'sajid'
agar tartib pa sakta kabhi sazina mera
(1115) Peoples Rate This