Mil Gai Hai Baadiya-paimai Se Manzil Meri
mil gai hai baadiya-paimai se manzil meri
kaam aai hai bil-aKHir sai-e-la-hasil meri
panw dharne ko mayassar aa nahin pati zamin
naw ruk jati hai aa kar jab lab-e-sahil meri
ek kami meri tag-o-dau mein kahin maujud hai
ho nahin pai abhi tak koi shai kaamil meri
mil nahin pati KHud apne-ap se fursat mujhe
mujh se bhi mahrum rahti hai kabhi mahfil meri
main yahin rah jaunga ho kar asir-e-dam-e-asr
rah takta hi rahega mera mustaqbil meri
kya bachaun dan mein kya dun samajh aata nahin
daulat-e-dil mangta hai mujh se ek sail meri
koi apne se gila hota na 'sajid' dahr se
ghaur se ek baat sun leta agar ye dil meri
(1106) Peoples Rate This