Meri Subh-e-KHwab Ke Shahr Par Yahi Ek Jawaz Hai Jabr Ka
meri subh-e-KHwab ke shahr par yahi ek jawaz hai jabr ka
ki mere wajud ke bagh mein abhi koi phul hai sabr ka
kisi baadban ki oT mein kahin aasman ke samne
ye ziya hai mishal-e-KHwab ki ki koi charagh hai abr ka
kisi subh KHwahish-e-marg se bhi numud pati hai zindagi
kisi sham apne wajud par bhi guman hota hai qabr ka
meri sham-e-nur ke us taraf meri KHak-e-sabz ke is taraf
ye nai zamin hai jabr ki ye naya gulab hai sabr ka
mere aaine se juda hua jo charagh-e-hijr to ye khula
chaman-e-sitara-o-rang mein bhi kahin qayam hai abr ka
(1103) Peoples Rate This