Mata-e-did To Kya Jaaniye Kis Se Ibarat Hai
mata-e-did to kya jaaniye kis se ibarat hai
charagh-e-KHwab hi kuchh der raushan ho ghanimat hai
kisi ke dar pe dastak dun to KHud bahar nikalta hun
KHabar kya kaun se ghar tak tere gham ki riyasat hai
sanwarte zawiyon mein muskuraati shakl hai meri
chaTaKHte aainon mein bhi koi meri hi surat hai
sitaron ke jilau mein aur kitni dur tak le jaen
kaho to subh hone tak bhala kitni masafat hai
nadamat phul se nazuk labon par barf ki sil hai
aur aankhon mein kisi bite hue din ki wazahat hai
mere mashal jalate hi sitara Dub kar nikla
main samjha hun mujhe bhi lauT jaane ki ijazat hai
kabhi majbur kar dena kabhi majbur ho jaana
yahi tera watira hai yahi teri siyasat hai
mujhe apni qasam 'sajid' main us ke kaam aaunga
agar ye ilm ho jae kise meri zarurat hai
(1035) Peoples Rate This