Mata-e-barg-o-samar Wahi Hai Shabahat-e-rang-o-bu Wahi Hai
mata-e-barg-o-samar wahi hai shabahat-e-rang-o-bu wahi hai
khula ki is bar bhi chaman par giraft-e-dast-e-numu wahi hai
hikayat-e-ishq se bhi dil ka ilaj mumkin nahin ki ab bhi
firaq ki talKHiyan wahi hain visal ki aarzu wahi hai
badal diye hain kisi ne afsun se kaam le kar tamam mohre
ki sehar-e-imroz ke muqabil na main wahi hun na tu wahi hai
zamin pe bahti hui ye aankhen falak pe rukte hue ye tare
suna hai ye phul hain usi ke suna hai ye aabju wahi hai
mah o sitara to aaine ke wajud se munharif hue hain
magar teri chashm-e-mehrban ko charagh se guftugu wahi hai
ulajh raha hai koi sitara tilism-e-istaKHr-o-nainwa se
ki rabb-e-ra ke muqable mein hua hai jo surKH-ru wahi hai
bahut giran hai mere shab-o-roz par ye rang-e-visal 'sajid'
magar wahi be-kali hai dil ki dimagh ko justuju wahi hai
(1043) Peoples Rate This