Laraz Jata Hai ThoDi Der Ko Tar-e-nafas Mera
laraz jata hai thoDi der ko tar-e-nafas mera
sar-e-maidan kabhi jab jast karta hai faras mera
main KHud se dur ho jata hun us se dur hone par
rihai chahta hun aur muqaddar hai qafas mera
zara mushkil se ab pahchanta hun in manazir ko
qayam us KHak-dan par tha abhi pichhle baras mera
dua karta hun milne ki tamanna kar nahin pata
bhala kya samna kar paenge ahl-e-hawas mera
nahin bhulegi meri dastan-e-ishq-e-duniya ko
ki sahra mein abhi tak nam leti hai jaras mera
numud-e-aks ki is ko zamanat kaun de 'sajid'
nahin hai jab shaguft-e-aina par koi bas mera
(1243) Peoples Rate This