Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi
lahu ki aag agar jalti rahegi
hamari dal bhi galti rahegi
bharosa hai agar duniya ko hum par
hamare rang mein Dhalti rahegi
mohabbat hai agar sachchi hamari
mata-e-KHwab par palti rahegi
chaman ab der tak raqsan rahega
hawa ab der tak chalti rahegi
kahan aaegi apne waqt par maut
wo agle roz par Talti rahegi
jahan mein surKH-ru ho kar bhi 'sajid'
wo hathon ko yunhi malti rahegi
(1243) Peoples Rate This