Koi Jab Chhin Leta Hai Mata-e-sabr MiTTi Se
koi jab chhin leta hai mata-e-sabr miTTi se
to apne aap ug aati hai us ki qabr miTTi se
saja rakha tha mabad ke kisi tarik goshe mein
bana kar ek dast-e-mehrban ne abr miTTi se
kahan ji shad rahta hai faqat kar-e-mohabbat mein
ki wirse mein mila hai aadmi ko jabr miTTi se
main is kuze ke pani se koi shamshir Dhaalunga
aur us ko aaine se aab dunga sabr miTTi se
wo kis duniya se aae hain wo kis duniya ke basi hain
banate hain jo gahre paniyon mein qabr miTTi se
isi duniya mein baste hain ajab kuchh log aise bhi
jo pal mein khinch sakte hain rida-e-jabr miTTi se
main agle jashn mein chumunga un be-dagh hathon ko
ki jin hathon ne Dhaala hai charagh-e-abr miTTi se
(1191) Peoples Rate This