Kisi Ko Zahr Dunga Aur Kisi Ko Jam Dunga
kisi ko zahr dunga aur kisi ko jam dunga
main apne jaan-nisaron ko yahi inam dunga
andhere mein damak uThte hain jitne bhi sitare
agar fursat mili to main unhen kuchh nam dunga
kisi tarik miTTi par mujhe bhi sath rakhna
ki main tujh ko kisi mushkil ghaDi mein kaam dunga
thaka-haara hun tanha hun magar ye baat tai hai
main tohfe mein tujhe ek roz mulk-e-sham dunga
dukan-e-aslaha se main ne jo shamshir li hai
main us ke dam puchhunga na us ke dam dunga
mujhe har roz kahta hai ye baat ab mera beTa
tujhe main is buDhape mein bahut aaram dunga
(1454) Peoples Rate This